اردو हिंदी
Dushmani larzan hai yaro dosti ke samne | Shaahi Shayari
dushmani larzan hai yaro dosti ke samne

Ghazal

Dushmani larzan hai yaro dosti ke samne

Shafiullah Raz

;

dushmani larzan hai yaro dosti ke samne
tirgi tharra rahi hai raushni ke samne

qafile walon se ye manzar na dekha jaega
rahbar hain sar ba-sajda gumrahi ke samne

ruh to tarikiyon mein gharq ho kar rah gai
jism albatta hai apna raushni ke samne

ek nazar bas aap mere samne aa jaiye
umr bhar baiTha rahunga aap hi ke samne

tere daman mein mahakte hain hazaron gulsitan
aur tera hath phaila hai kali ke samne

zindagi mein barha aise bhi lamhe aae hain
guftugu sharma gai hai KHamushi ke samne

jo andhere mein mazalim toDte rahte hain 'raaz'
aa nahin sakte wo zalim raushni ke samne