اردو हिंदी
Dushman-wushman neza-weza KHanjar-wanjar kya | Shaahi Shayari
dushman-wushman neza-weza KHanjar-wanjar kya

Ghazal

Dushman-wushman neza-weza KHanjar-wanjar kya

Qamar Siddiqi

;

dushman-wushman neza-weza KHanjar-wanjar kya
ishq ke aage mat hai sab ki lashkar-washkar kya

ek tere hi jalwe se raushan hain ye aankhen
saat-waat lamhe-wamhe manzar-wanzar kya

tere rup ke aage phike chand-sitare bhi
baali-wali kangan-wagan zewar-wewar kya

tera nam hi antim sur hai dharti-ta-akash
sadhu-wadhu panDit-wanDit mantar-wantar kya

yar 'qamar' ki baaton ka kya us ki ek hi raT
likhta hai bas nam tera wo kafar-wafar kya