dushman ko zad par aa jaane do dashna mil jaega
zindanon ko toD nikalne ka rasta mil jaega
shah-sawar ke kaT jaane ka dukh to hamein bhi hai lekin
tum parcham thame rakhna salar-e-sipah mil jaega
hamein KHabar thi shahr-e-panah par khaDi sipah munafiq hai
hamein yaqin tha naqab-zanon se ye dasta mil jaega
soch-kaman salamat rakhni hogi tir-andaz bahut
kaun hadaf hai aur kahan hai us ka pata mil jaega
bas tum jabr ki choTi sar karne ka ahd jawan rakhna
us tak jaane wale raston ka naqsha mil jaega
hasan-'raza' uTh aur qadam aawaz-e-jaras par rakh warna
shah ka sar lane tujh sa koi diwana mil jaega
Ghazal
Dushman ko zad par aa jaane do dashna mil jaega
Hasan Abbas Raza