dushman ki dosti hai ab ahl-e-watan ke sath
hai ab KHizan chaman mein nae pairahan ke sath
sar par hawa-e-zulm chale sau jatan ke sath
apni kulah kaj hai usi bankpan ke sath
kis ne kaha ki TuT gaya KHanjar-e-farang
sine pe zaKHm-e-nau bhi hai dagh-e-kuhan ke sath
jhonke jo lag rahe hain nasim-e-bahaar ke
jumbish mein hai qafas bhi asir-e-chaman ke sath
'majruh' qafile ki mere dastan ye hai
rahbar ne mil ke luT liya rahzan ke sath
Ghazal
Dushman ki dosti hai ab ahl-e-watan ke sath
Majrooh Sultanpuri