اردو हिंदी
Dushman ki baat jab teri mahfil mein rah gai | Shaahi Shayari
dushman ki baat jab teri mahfil mein rah gai

Ghazal

Dushman ki baat jab teri mahfil mein rah gai

Rasa Rampuri

;

dushman ki baat jab teri mahfil mein rah gai
ummid yas ban ke mere dil mein rah gai

tu hum se chhap gaya to teri shakl-e-dil-fareb
taswir ban ke aaina-e-dil mein rah gai

nikla wahan se main to mere dil ki aarzu
sar piTti hui teri mahfil mein rah gai

dekha jo qatl-e-am to har lash par ajal
ek aah bhar ke kucha-e-qatil mein rah gai

main kya kahun 'rasa' ki mere dil pe kya bani
talwar khich ke jab kaf-e-qatil mein rah gai