اردو हिंदी
Dushman hain wo bhi jaan ke jo hain hamare log | Shaahi Shayari
dushman hain wo bhi jaan ke jo hain hamare log

Ghazal

Dushman hain wo bhi jaan ke jo hain hamare log

Haqeer

;

dushman hain wo bhi jaan ke jo hain hamare log
aur aap ke hain dost zamane mein sare log

aata nahin hai sahil-e-bahr-e-fana nazar
kya jaanen par hote hain kis ke sahaare log

kya jaanen un ki chaal mein eajaz hai ki sehr
wo bhi unhin se mil gae jo the hamare log

ho kis zaban se mahfil-e-dildar ki sana
wo aaftab-e-husn to anjum hain sare log

taqsir-war-e-ishq jo hota hai koi zabh
karte hain afw jurm ke un se ishaare log

dekha baghaur aib se KHali nahin koi
bazm-e-jahan mein sab hain KHuda ke sanware log

chhoDa na sath hashr tak aamal-e-nek 'haqir'
sab ho gae luTa ke lahad mein kinare log