dushman-e-jaan koi bana hi nahin
itne hum laiq-e-jafa hi nahin
aazma lo ki dil ko chain aae
ye na kahna kahin wafa hi nahin
hum pashiman hain wo bhi hairan hain
aisa tufan kabhi uTha hi nahin
jaane kyun un se milte rahte hain
KHush wo kya honge jab KHafa hi nahin
tum ne ek dastan bana Dali
hum ne to raaz-e-gham kaha hi nahin
gham-gusar is tarah se milte hain
jaise duniya mein kuchh hua hi nahin
ai junun kaun si ye manzil hai
kya karen kuchh hamein pata hi nahin
maut ke din qarib aa pahunche
hae hum ne to kuchh kiya hi nahin
Ghazal
Dushman-e-jaan koi bana hi nahin
Baqar Mehdi