اردو हिंदी
Dushman-e-jaan kai qabile hue | Shaahi Shayari
dushman-e-jaan kai qabile hue

Ghazal

Dushman-e-jaan kai qabile hue

Noshi Gilani

;

dushman-e-jaan kai qabile hue
phir bhi KHushbu ke hath pile hue

bad-gumani ke sard mausam mein
meri guDiya ke hath nile hue

jab zamin ki zaban chaTaKHne lagi
tab kahin barishon ke hile hue

waqt ne KHak wo uDai hai
shahr aabaad the jo Tile hue

jab parindon ki sans rukne lagi
tab hawaon ke kuchh wasile hue

koi barish thi bad-gumani ki
sare kaghaz hi dil ke gile hue