durun-e-chashm har ek KHwab mar raha hai bas
hamare pas yahi aaj-kal bacha hai bas
teri talab thi zamana tujhe zamana mila
meri talab thi KHuda so mera KHuda hai bas
udas hai na kisi se hua hai jhagDa koi
baDe dinon se yunhi dil dukha hua hai bas
jahan pe chaho mere hath ko jhaTak dena
mujhe pata hai talluq ye aam sa hai bas
khaDi hui hun kinare chanab ke sar-e-sham
bhanwar bhanwar meri aankhon mein ghumta hai bas
kiya jo ghaur to har-samt nachti thi aag
mujhe laga tha mera ghar hi jal raha hai bas
hamare pas nahin 'sadiya' koi rasta
hamare pas yahi ek rasta hai bas

Ghazal
Durun-e-chashm har ek KHwab mar raha hai bas
Sadiya Safdar Saadi