durust hai ki ye din raegan nahin guzre
magar sukun se to ai jaan-e-jaan nahin guzre
mizaj-e-shahr-e-junun ab ye barhami kaisi
kis aag se tere pir-o-jawan nahin guzre
nazar se dur sahi phir bhi kushtagan-e-wafa
wahan se kam to ye sadme yahan nahin guzre
murawwatan wo meri baat puchh kar chup hain
wagarna kab mere shikwe garan nahin guzre
samundaron ki hawa dur dur se na guzar
wahan ka haal suna hum jahan nahin guzre
hujum-e-kar jahan ho ki dasht-e-jaan ka sukut
tere firaq ke sadme kahan nahin guzre
guzar gae wo jo jaan se magar ye hasrat hai
koi 'saba' se ye kah de miyan nahin guzre

Ghazal
Durust hai ki ye din raegan nahin guzre
Sabiha Saba