اردو हिंदी
Durust hai ki mera haal ab zubun bhi nahin | Shaahi Shayari
durust hai ki mera haal ab zubun bhi nahin

Ghazal

Durust hai ki mera haal ab zubun bhi nahin

Safdar Meer

;

durust hai ki mera haal ab zubun bhi nahin
maqam-e-sajda ki ye jam sar-nigun bhi nahin

nahin ki shorish-e-bazm-e-tarab fuzun bhi nahin
dalil-e-shorish-e-jaan ek charagh-e-KHun bhi nahin

hadis-e-shauq abhi muKHtasar hai chup rahiye
abhi bahaar ka kya gham abhi junun bhi nahin

abhi to taq-e-haram mein jalaiye shamen
abhi harif-e-sanam jazb-e-andarun bhi nahin

abhi ye gumbad-e-sar phoDne ki kije fikr
ki sadd-e-rah abhi charKH nilgun bhi nahin

abhi to gard-e-rah-e-astan se saz karen
farogh-e-dida koi paikar-e-fusun bhi nahin

hai is qadar ki nigah baam-o-dar pe phirti hai
magar dilon ko jo taDpae wo sukun bhi nahin