durusht kyun tha wo itna kalam se pahle
ki mera nam na tha us ke nam se pahle
wo sab charagh ki thi jin mein raushni ki ramaq
bujha diye gae basti mein sham se pahle
wo mehrban bhi hue dushmani pe aamada
hum aashna bhi na the jin ke nam se pahle
KHud-e'timad kabhi the par ab ye aalam hai
hazar waswase dil mein hain kaam se pahle
hamare dars-e-mohabbat ka puchhte kya ho
kitabi chehra paDha hai kalam se pahle
subuk-rawan-e-rah-e-gham ne zindagi 'mohsin'
musafirana guzari qayam se pahle
Ghazal
Durusht kyun tha wo itna kalam se pahle
Mohsin Ehsan