dupaTTa wo gulnar dikhla gae
nae sur se phir aag bhaDka gae
tumhaari zidon se hum ukta gae
kisi rose sun lena kuchh kha gae
hamari fughan se na mano bura
kahan tak karen zabt ghabra gae
qafas se chhuTe kin dinon ya-nasib
ki patte bhi phulon ke murjha gae
gae mere dushman ke phulon mein wo
mujhe gham ke kanTon mein uljha gae
hamare gul-andam ka hai ye rang
zara dhup mein nikle sanwla gae
ye sar choT furqat ke sadme rahi
bahut kasa-e-sar mein baal aa gae
lahad mein gire jab hua sar safed
paDi dhup aisi ki teyora gae
na pahunchi chaman tak KHizan aa gai
dilon ke kanwal khil ke kumhla gae
kisi ki wo zulfen jo yaad aa gain
mere sine par sanp lahra gae
falak abr ki tarah phaT jaega
mere nale jis rose Takra gae
har ek baat ki tah samajhne lage
bahut dur ho hum tumhein pa gae
hua dhup mein bhi na kam husn-e-yar
kanhayya bane wo jo sanwla gae
na joban ubharne diya naz ne
dupaTTa jo sarka to sharma gae
miyan-'bahr' kyun chupke chupke ho aaj
jo mehman aae the wo kya gae
Ghazal
DupaTTa wo gulnar dikhla gae
Imdad Ali Bahr