duniya wo raste ki rukawaT hai dosto
jis se hamein shadid lagawaT hai dosto
chhat par khaDe hain phir bhi nazar aasman pe hai
pani mein tishnagi ki milawaT hai dosto
ek to ye raste hain ki jaise hon daere
us par masafaton ki thakawaT hai dosto
hum sab ko kya paDi ki talluq banaen hum
chehron pe pur-fareb banawaT hai dosto
lamhon ki ungliyon pe sabhi nachne lage
ye jashn-e-zindagi ki banawaT hai dosto
Ghazal
Duniya wo raste ki rukawaT hai dosto
Zeeshaan sajid