اردو हिंदी
Duniya walon ne chahat ka mujhko sila anmol diya | Shaahi Shayari
duniya walon ne chahat ka mujhko sila anmol diya

Ghazal

Duniya walon ne chahat ka mujhko sila anmol diya

Shakeb Jalali

;

duniya walon ne chahat ka mujh ko sila anmol diya
pairon mein zanjiren Dalin hathon mein kashkol diya

itna gahra rang kahan tha raat ke maile aanchal ka
ye kis ne ro ro ke gagan mein apna kajal ghol diya

ye kya kam hai us ne baKHsha ek mahakta dard mujhe
wo bhi hain jin ko rangon ka ek chamkila KHol diya

mujh sa be-maya apnon ki aur to KHatir kya karta
jab bhi sitam ka paikan aaya main ne sina khol diya

bite lamhe dhyan mein aa kar mujh se sawali hote hain
tu ne kis banjar miTTi mein man ka amrit Dol diya

ashkon ki ujli kaliyan hon ya sapnon ke kundan phul
ulfat ki mizan mein main ne jo tha sab kuchh tol diya