اردو हिंदी
Duniya se wafa kar ke sila DhunDh rahe hain | Shaahi Shayari
duniya se wafa kar ke sila DhunDh rahe hain

Ghazal

Duniya se wafa kar ke sila DhunDh rahe hain

Sudarshan Faakhir

;

duniya se wafa kar ke sila DhunDh rahe hain
hum log bhi nadan hain ye kya DhunDh rahe hain

kuchh der Thahar jaiye ai banda-e-insaf
hum apne gunahon mein KHata DhunDh rahe hain

ye bhi to saza hai ki giraftar-e-wafa hun
kyun log mohabbat ki saza DhunDh rahe hain

duniya ki tamanna thi kabhi hum ko bhi 'fakir'
ab zaKHm-e-tamanna ki dawa DhunDh rahe hain