duniya se hue baiThe ho ru-posh ai jaana
jalwa bhi sar-e-am hai pur-josh ai jaana
din dasht mein achchhe se guzar jata hai aksar
jab aata hai yaad aalam-e-aghosh ai jaana
ye log shab-e-hijr bilakhte the jo behad
mahshar se guzar aae hai KHamosh ai jaana
kal raat to tum bhi the hamein yaad ba-tartib
aaj uTThe hain KHud se hi faramosh ai jaana
chhilte the badan jin ke hawaon se wahi gul
bulbul ke hain sab qatl pe KHamosh ai jaana
kanTon se bhare hain dar-o-diwar-o-dariche
itne ki saba bhi hai lahu-posh ai jaana
Ghazal
Duniya se hue baiThe ho ru-posh ai jaana
Atif Khan