duniya se alag hum ne maiKHane ka dar dekha
maiKHane ka dar dekha allah ka ghar dekha
goshe se nasheman ke aahon ka asar dekha
sayyaad ka ghar jalte be-barq-o-sharar dekha
donon ke maze luTe donon ka asar dekha
allah ka ghar dekha maiKHane ka dar dekha
yun hashr mein sairen kin firdaus-o-jahannam ki
kuchh der udhar dekha kuchh der udhar dekha
ai shaiKH wo kaba ho ya ho dar-e-mai-KHana
tu ne mujhe jab dekha sajde hi mein sar dekha
nala hamein karna tha dam ishq ka bharna tha
sau rang se marna tha har rang se mar dekha
jab mauj ubharti hai kahti hai wo shoKHi se
bazu mein bat-e-mai ke surKHab ka par dekha
Tanke diye jate hain kyun lab siye jate hain
hansne ka maza tu ne ai zaKHm-e-jigar dekha
nisbat nahin mujh ko kuchh bekas ke bujhe dil se
bujhte hue tujh ko bhi aae sham-e-sahar dekha
sahme hue baiThe hain khoe hue baiThe hain
jis raat ke arman the us raat ko Dar dekha
phal phul nahin late ye bagh-e-mohabbat mein
har naKHl-e-tamanna ko be-barg-o-samar dekha
kabe mein nazar aae jo subh azan dete
maiKHane mein raaton ko un ka bhi guzar dekha
kuchh kaam nahin mai se go ishq hai us shai se
main rind 'riyaz' aise daman bhi na tar dekha
Ghazal
Duniya se alag humne maiKHane ka dar dekha
Riyaz Khairabadi