duniya se aaj jazb-e-wafa mangta hun main
ye jurm hai agar to saza mangta hun main
kis moD par hayat ke chhoDa hai tum ne sath
ek ek se aaj apna pata mangta hun main
main ne to ki thi dard-e-musalsal ki aarzu
tum ko guman hua ki dawa mangta hun main
ranai-e-bahaar baDhane ke waste
tera jamal teri ada mangta hun main
barsao mujh pe sang ba-nam-e-KHulus-e-ishq
apne kiye ki aap saza mangta hun main
tum mangte ho sari KHudai to mang lo
apne liye to sirf KHuda mangta hun main
kya jaane ab sameT ke sari tabahiyan
is daur-e-iztirab se kya mangta hun main
qatil ko gham-gusar samajhta hun ab 'rais'
maqtal mein zindagi ki dua mangta hun main
Ghazal
Duniya se aaj jazb-e-wafa mangta hun main
Raees Akhtar