duniya sanwar gai hai nizam-e-digar ke baad
manzil pe aa gai hai mashiyyat safar ke baad
jaise dil-o-nazar ke hijabaat uTh gae
aalam KHabar ka hai nigah-e-be-KHabar ke baad
lale mein rang hai ye kahan ye lahu tarang
duniya hasin hai mere zauq-e-nazar ke baad
biti hui hayat mohabbat ka tazkira
sham-o-sahar ki yaad hai sham-o-sahar ke baad
main aa gaya sukut-o-tabassum ke darmiyan
wo muskura diye suKHan-e-muKHtasar ke baad
har raste ko luT liya e'timad ne
rahzan bhi ek shai hai magar rahbar ke baad
tariki-e-hayat mein raKHshan hai husn-e-dost
jalwe kahan rahenge hujum-e-nazar ke baad
hasil hai kaenat ka dard-e-dil-e-hayat
duniya mein kya raha meri aah-e-sahar ke baad
manzil pe chhiD gai hai kudurat ki dastan
har karwan ne gard uDai safar ke baad
naqsh-e-qadam ki aankh khuli teri rah mein
raste bhi so gae hain teri rahguzar ke baad
ahl-e-hunar ko dekh raha hun ghamin 'nushur'
duniya hunar hai ras bhi aae hunar ke baad
Ghazal
Duniya sanwar gai hai nizam-e-digar ke baad
Nushur Wahidi