duniya patthar phenk rahi hai jhunjhla kar farzanon par
ab wo kya ilzam dharegi hum jaise diwanon par
dil ki kaliyan afsurda si har chehra mayus magar
bagh mahakte dekh raha hun ghaTon par shamshanon par
patthar dil hain log yahan ke ye patthar kya pighlenge
kis ne barish hote dekhi tapte registanon par
jin ki ek nazar ke badle hum ne duniya Thukra di
nam hamara sun kar rakkhen hath wo apne kanon par
aahen aansu pesh kiye to ghabra ke munh pher liya
un ko shayad ghussa aaya mere in nazranon par
kya taqdir ka shikwa yaro apni apni qismat hai
apna hath gaya hai aksar TuTe se paimanon par
aaj 'kanwal' hum kuchh bhi kah len baat magar ye sachchi hai
aaj ka ek ek pal bhaari hai pichhle kai zabanon par
Ghazal
Duniya patthar phenk rahi hai jhunjhla kar farzanon par
D. Raj Kanwal