duniya ne zar ke waste kya kuchh nahin kiya
aur hum ne shaeri ke siwa kuchh nahin kiya
ghurbat bhi apne pas hai aur bhuk nang bhi
kaise kahen ki us ne ata kuchh nahin kiya
chup-chap ghar ke sehn mein faqe bichha diye
rozi-rasan se hum ne gila kuchh nahin kiya
pichhle baras bhi boi thin lafzon ki khetiyan
ab ke baras bhi is ke siwa kuchh nahin kiya
ghurbat ki tez aag pe aksar pakai bhuk
KHush-haaliyon ke shahr mein kya kuchh nahin kiya
basti mein KHak aDai na sahra mein hum gae
kuchh din se hum ne KHalq-e-KHuda kuchh nahin kiya
mangi nahin kisi se bhi hamdardiyon ki bhik
'sajid' kabhi KHilaf-e-ana kuchh nahin kiya
Ghazal
Duniya ne zar ke waste kya kuchh nahin kiya
Iqbal Sajid