duniya ne bas thaka hi diya kaam kam hue
teri gali mein aae to kuchh taza-dam hue
uqda khula to dard ke rishte baham hue
daman ke sath ab ke gareban bhi nam hue
jab se asir-e-silsila-e-besh-o-kam hue
hum ko salib apne hi naqsh-e-qadam hue
badli zara jo tarz-e-KHiram-e-sitargan
nuqton mein aankh bich sahife raqam hue
the muntazir hamare bhi gul-chehragan-e-shahr
lekin riha giraft-e-jahan se na hum hue
rah kar jin intihaon mein apni guzar gai
is tarah jine wale to jaan-bar hi kam hue
diwar par gaDe hue TukDe pe kanch ke
ye kis hisar-e-rang mein mahsur hum hue
chashmak ye dhup chhanw ki aur ek zard phul
ek jaan-e-na-tawan pe hazaron sitam hue
yakta o be-nazir hai wo kya use gharaz
KHarij hue ki daKHil-e-kaba sanam hue
'shahin' the kamal ke rutba-shanas-e-dahr
par apni manzilat se KHud aagah kam hue
Ghazal
Duniya ne bas thaka hi diya kaam kam hue
Shaheen Gazipuri