اردو हिंदी
Duniya mein yahi chor banata hai asas ko | Shaahi Shayari
duniya mein yahi chor banata hai asas ko

Ghazal

Duniya mein yahi chor banata hai asas ko

Mirza Maseeta Beg Muntahi

;

duniya mein yahi chor banata hai asas ko
allah kare qata kahin dast-e-hawas ko

dil deta hun main qamat-e-dil-dar ko apna
laTkata hun main naKHl-e-mohabbat mein qafas ko

jaisa ki ye dil dam-e-mohabbat mein phansa hai
kam dekhta hun murgh-e-giraftar-e-qafas ko

nikle hain KHat-o-KHal lab-e-yar ke nazdik
allah ne diya shahd-o-shakar mor-o-magas ko

dauDati hai ye ruh meri jism ko har-su
aswar uData hai zamane mein faras ko

zaKHm-e-dil-e-shaida hua achchha na masiha
KHayyat-e-azal sil na saka chaak-e-qafas ko

rahte the ham-aghosh jawani mein buton se
is piri ke aate hi tarasne lage mas ko

kab pech se is rishtha-e-ulfat ke chhutunga
toDunga na jab tak ki main is tar-e-nafas ko

bimari-e-ulfat se jo main bach gaya naseh
Tal jaunga ab ki kahin do-chaar baras ko

daman ka nishan hai na gareban ka pata hai
ai dast-e-junun manta hun main tere bas ko

sayyaad jo dekhe mujhe ulfat ki nazar se
gulzar se behtar kahin samjhun main qafas ko

ai dil kabhi kahne ka nahin raaz-e-mohabbat
is dasht mein dauDa na tabiat ke faras ko

dil deta hai us tifl-e-pari-zad ko nadan
kyun 'muntahi' shoale se bhiData hai tu KHas ko