duniya mein wafa-kesh bashar DhunDh raha hun
main naKHl-e-sanobar mein samar DhunDh raha hun
main apni duaon mein asar DhunDh raha hun
tarik fazaon mein qamar DhunDh raha hun
main aur tamasha-e-gul-o-rang pe mail
khoya hua ek zauq-e-nazar DhunDh raha hun
wo subh-e-qayamat mein hue jate hain pinhan
main sham-e-musibat ki sahar DhunDh raha hun
KHushbu ki tarah KHalwat-e-gul se hun ramida
zindan-e-tamanna se mafar DhunDh raha hun
tashbih ke afsun ka asar puchho na 'rana'
shamshir mein us but ki nazar DhunDh raha hun
Ghazal
Duniya mein wafa-kesh bashar DhunDh raha hun
Birj Lal Raana