اردو हिंदी
Duniya mein kya kisi se sarokar hai hamein | Shaahi Shayari
duniya mein kya kisi se sarokar hai hamein

Ghazal

Duniya mein kya kisi se sarokar hai hamein

Waliullah Muhib

;

duniya mein kya kisi se sarokar hai hamein
tujh bin to apni zist hi dushwar hai hamein

tu hi nahin to jaan teri jaan ki qasam
ye jaan kis ke waste darkar hai hamein

girte hain dukh se teri judai ke warna KHair
change-bhale hain kuchh nahin aazar hai hamein

mar bach ke din to guzre hai jun-tun par is tarah
nazron mein nur-e-mehr shab-e-tar hai hamein

phir raat ki na puchh haqiqat ki subh tak
aah-o-fughan-o-dida-e-KHunbar hai hamein

ho kar udas bagh mein jawen kabhu to wan
nazron ke bich har rag-e-gul KHar hai hamein

din ka wo haal raat ka wo kuchh bayan hai
sair-e-chaman so dil se kuchh ai yar hai hamein

tis par bhi hum se milne ka inkar hai tujhe
jis mein teri raza su-e-iqrar hai hamein

shikwe bhare hain dil mein wa-lekin 'muhibb'-e-man
kab tere aage taqat-e-guftar hai hamein