اردو हिंदी
Duniya mein kitne rang nazar aaenge nae | Shaahi Shayari
duniya mein kitne rang nazar aaenge nae

Ghazal

Duniya mein kitne rang nazar aaenge nae

Hasan Akbar Kamal

;

duniya mein kitne rang nazar aaenge nae
hon did ke amal mein agar zawiye nae

chehra bhi aansuon se tar-o-taza ho gaya
barish ke baad sabza-o-gul bhi hue nae

badli hai ye zamin ki meri aankh wo nahin
begana shahr-o-dasht hain aur raste nae

us ko badal gaya nasha-e-KHud-supurdagi
manus KHal-o-KHad mujhe yaksar lage nae

sab se juda hain gar mere nau-zaida KHayal
jis ne diye KHayal wo alfaz de nae