duniya mein ibaadat ko teri aae hue hain
par husn-e-butan dekh ke ghabrae hue hain
afsos ibaadat na teri ho saki hum se
gardan nahin uThti hai ki sharmae hue hain
ilzam nahin tur jo surma hua jal kar
musa bhi tajalli se to sharmae hue hain
main barhaman o shaiKH ki takrar se samjha
paya nahin us yar ko jhunjhlae hue hain
kabe se na raghbat hamein ne dair ki KHwahish
hum KHana-e-dil mein jo use pae hue hain
hai kaun si ja ho jo tere jalwe se KHali
mazmun hum ab dil mein yahi lae hue hain
zillat ke KHaridar hue hirs ke bande
hajat ke liye hath jo phailae hue hain
jis qaum mein dekha to tajassus tera paya
mabad tere har qaum mein Thahrae hue hain
'bahram' ghazal aur bhi ek un ko suna de
mushtaq teri bazm mein sab aae hue hain
Ghazal
Duniya mein ibaadat ko teri aae hue hain
Bahram ji