duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun
bazar se guzra hun KHaridar nahin hun
zinda hun magar zist ki lazzat nahin baqi
har-chand ki hun hosh mein hushyar nahin hun
is KHana-e-hasti se guzar jaunga be-laus
saya hun faqat naqsh-ba-diwar nahin hun
afsurda hun ibrat se dawa ki nahin hajat
gham ka mujhe ye zof hai bimar nahin hun
wo gul hun KHizan ne jise barbaad kiya hai
uljhun kisi daman se main wo KHar nahin hun
ya rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se
main us ki inayat ka talabgar nahin hun
go dawa-e-taqwa nahin dargah-e-KHuda mein
but jis se hon KHush aisa gunahgar nahin hun
afsurdagi o zof ki kuchh had nahin 'akbar'
kafir ke muqabil mein bhi din-dar nahin hun
Ghazal
Duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun
Akbar Allahabadi