duniya mein har qadam pe hamein tirgi mili
dekha jo apne dil ki taraf raushni mili
ulfat mili KHulus mila dosti mili
har dil mein hum ko apni hi taswir si mili
nagah jaise bichhDa hua ham-safar mile
gham mil gaya to dil ko baDi tazgi mili
shayad meri talash ka maqsad hi tha ghalat
aawaz di KHirad ko to diwangi mili
hai apni zindagi ki ye tafsir-e-muKHtasar
gham mustaqil mila to KHushi aarizi mili
jo ho chala tha dil ko sukun un ke hijr mein
wo mil gae to phir use waraftagi mili
ishrat-kada hai dahr magar shaiKH ke liye
hum ko to ek ghaDi bhi na aaram ki mili
wo aur honge pi ke jo sarshaar ho gae
har jam se hamein to nai tishnagi mili
jagir apni shaeri pahle se thi magar
ek umr jab riyaz kiya sahiri mili
Ghazal
Duniya mein har qadam pe hamein tirgi mili
Sahir Hoshiyarpuri