duniya mein hai yun to kaun be-gham
puchhe koi kyun udas hain hum
kya shahr ke basiyon ko malum
karte hain ghazal kis tarah ram
karte rahe umr bhar wazahat
par rah gai baat phir bhi mubham
shikwa to hai dusron se lekin
naraaz hain apne aap se hum
har sans ke sath kar rahe hain
guzri hui zindagi ka matam
auron ki nazar mein kya samate
KHud aap ko bhi jache nahin hum
'rashid' wo ghazal koi ghazal hai
gae na jise 'farida-KHanam'
Ghazal
Duniya mein hai yun to kaun be-gham
Rashid Mufti