duniya mein baqa nahin kisi ko
marna ek rose hai sabhi ko
wo kaun hai jo hai aib se pak
kya koi bura kahe kisi ko
malum hai wade ki haqiqat
bhula lete hain apne ji ko
KHud nur-e-KHuda ho tum mein paida
dil se kho do agar KHudi ko
sau aibon ka ek aib hai ye
iflas KHuda na de kisi ko
mushkil nahin koi kaam lekin
himmat lazim hai aadmi ko
sach kah de ki hai qusur kis ka
munsif main ne kiya tujhi ko
mana ki sharab chhoDi 'kaifi'
aisa to kaho na mai-kashi ko
Ghazal
Duniya mein baqa nahin kisi ko
Dattatriya Kaifi