duniya ko walwala dil-e-nashad se hua
ye tul us KHilasa-e-ijad se hua
fasl-e-junun mein sina-o-naKHun ko mere dekh
kya be-sutun pe tesha-farhad se hua
rahmat ne baDh ke sard jahannam ko kar diya
kaisa qusur ye dil-e-nashad se hua
KHush hun main waqt-e-naza KHusha lazzat-e-faragh
jo kuchh hua wo aap ke irshad se hua
ye hai haqiqat-e-adam-o-alam-e-wajud
wo KHamushi se ye meri fariyaad se hua
na-waqif-e-rusum mohabbat hai koi chiz
insan 'aziz' shewa-e-faryaad se hua
Ghazal
Duniya ko walwala dil-e-nashad se hua
Aziz Lakhnavi