اردو हिंदी
Duniya ko ru-shanas-e-haqiqat na kar sake | Shaahi Shayari
duniya ko ru-shanas-e-haqiqat na kar sake

Ghazal

Duniya ko ru-shanas-e-haqiqat na kar sake

Habeeb Ahmad Siddiqui

;

duniya ko ru-shanas-e-haqiqat na kar sake
hum jitna chahte the mohabbat na kar sake

saman-e-gul-faroshi-e-rahat na kar sake
rahat ko hum sharik-e-mohabbat na kar sake

yun kasrat-e-jamal ne luTi mata-e-did
taskin-e-tishna-kaami-e-hairat na kar sake

ab ishq-e-KHam-kar hi arman ko de jawab
hum un ko be-qarar-e-mohabbat na kar sake

be-mehriyon se kaam raha go tamam-umr
be-mehriyon ko sahne ki aadat na kar sake

kuchh aisi iltifat-numa thi nigah-e-dost
hote rahe tabah shikayat na kar sake

nakaamiyan to farz ada apna kar gain
hum hain ki e'tiraf-e-hazimat na kar sake

faKHr-e-munasibat mein tera nam le liya
hum KHud hi parda-dari-e-ulfat na kar sake

har-chand haal-e-dida-o-dil hum kaha kiye
tashrih-e-kaifiyat-e-mohabbat na kar sake

aflak par to hum ne banain hazar-ha
tamir koi dahr mein jannat na kar sake

hamsaegi-e-zahid-e-bad-KHu ke KHauf se
parwardigar teri ibaadat na kar sake