duniya ko har chiz dikhai ja sakti hai
patthar mein bhi aankh banai ja sakti hai
dil ki miTTi ki zarKHezi aisi hai ki
kaisi bhi ho chiz ugai ja sakti hai
hijr ka mausam wo mausam hai jis mein jaanan
aankhon mein bhi raat bitai ja sakti hai
patthar ko Thokar ki had tak tum na jaano
patthar se to aag lagai ja sakti hai
KHud ke hone ka ehsas dilata hai wo
is Dar se ke us ki KHudai ja sakti hai
dil ki bazi aisi bazi hai jis mein hum
haaren bhi to jit manai ja sakti hai
mujh ko sare naqsh adhure dikhte hain ab
yani mujh pe gaj girai ja sakti hai
Ghazal
Duniya ko har chiz dikhai ja sakti hai
Renu Nayyar