duniya ko dekhiye zara aankhen to kholiye
suraj chaDha hai sar pe baDi der so liye
sari masarraten teri KHushiyon pe war din
jitne bhi gham mile tere gham mein samo liye
hum ko na-jaane kya hua phulon ko dekh kar
hathon mein hum ne jaan ke kanTe chubho liye
majburiyan kahen ki ise sadgi kahen
jis ne bhi hans ke baat ki hum sath ho liye
ru-e-KHitab hai kisi nazuk-mizaj se
chehre pe haal likhiye nigahon se boliye
sipi khuli rahegi jo moti nikal gae
aankhon ki sipiyon se jawahar na roliye
taza rakha hai zehn mein karb-e-shikastagi
jab kuchh na ban paDa to kahin chhup ke ro liye
Ghazal
Duniya ko dekhiye zara aankhen to kholiye
Murtaza Birlas