duniya ki justuju to hum se na ho sakegi
ye minnat aarzu to hum se na ho sakegi
go sham se sahar tak roe hai aur jale hai
ye sham-e-du-ba-du to hum se na ho sakegi
bahuteri ghaebana karte rahen shikayat
par us ke ru-ba-ru to hum se na ho sakegi
mai-KHana-e-jahan mein guzran shaiKH-sahib
be-jam o be-subu to hum se na ho sakegi
kya puchhta hai 'joshish' tarif us dahan ki
kuchh is mein guftugu to hum se na ho sakegi
Ghazal
Duniya ki justuju to humse na ho sakegi
Joshish Azimabadi