duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad
main shikwa ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shayad ki mere bhulne wale ne kiya yaad
chheDa tha jise pahle-pahal teri nazar ne
ab tak hai wo ek naghma-e-be-saz-o-sada yaad
jab koi hasin hota hai sargarm-e-nawazish
us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwa yaad
kya jaaniye kya ho gaya arbab-e-junun ko
marne ki ada yaad na jine ki ada yaad
muddat hui ek hadsa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tere dil ke dhaDakne ki sada yaad
han han tujhe kya kaam meri shiddat-e-gham se
han han nahin mujh ko tere daman ki hawa yaad
main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha
kyun aa gai aise mein teri laghzish-e-pa yaad
kya lutf ki main apna pata aap bataun
kije koi bhuli hui KHas apni ada yaad
Ghazal
Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
Jigar Moradabadi