اردو हिंदी
Duniya ke kuchh na kuchh to talabgar se rahe | Shaahi Shayari
duniya ke kuchh na kuchh to talabgar se rahe

Ghazal

Duniya ke kuchh na kuchh to talabgar se rahe

Suhail Ahmed Zaidi

;

duniya ke kuchh na kuchh to talabgar se rahe
hum apni hi nazar mein KHata-kar se rahe

ek marhala tha KHatm hua dasht-e-KHwab ka
phir umr bhar jahan rahe be-zar se rahe

jurat kisi ne wadi-e-wahshat ki phir na ki
hum KHasta-haal aahani diwar se rahe

ek aks hai jo sath nahin chhoDta kabhi
hum ta-hayat aaina-bardar se rahe

har subh apne ghar mein usi waqt jagna
aazad log bhi to giraftar se rahe

kar-e-azim kab koi qudrat mein tha 'suhail'
hum bas ufuq pe subh ke aasar se rahe