duniya ke kuchh na kuchh to talabgar se rahe
hum apni hi nazar mein KHata-kar se rahe
ek marhala tha KHatm hua dasht-e-KHwab ka
phir umr bhar jahan rahe bezar se rahe
jurat kisi ne wadi-e-wahshat ki phir na ki
hum KHasta-haal aahani diwar se rahe
ek aks hai jo sath nahin chhoDta kabhi
hum ta-hayat aaina-bardar se rahe
har subh apne ghar mein usi waqt jagna
aazad log bhi to giraftar se rahe
kar-e-azim kab koi qudrat mein tha 'suhail'
hum bas ufuq pe subh ke aasar se rahe
Ghazal
Duniya ke kuchh na kuchh to talabgar se rahe
Suhail Ahmed Zaidi