duniya ke har KHayal se begana kar diya
husn-e-KHayal-e-yar ne diwana kar diya
tu ne kamal jalwa-e-jaanana kar diya
bulbul ko phul shama ko parwana kar diya
mashrab nahin ye mera ki pujun buton ko main
shauq-e-talab ne dil ko sanam-KHana kar diya
un ki nigah-e-mast ke qurban jaiye
mere junun ko hasil-e-mai-KHana kar diya
Thukrae ya qubul kare us ki baat hai
hum ne to pesh jaan ka nazrana kar diya
tere KHiram-e-naz pe qurban zindagi
naqsh-e-qadam ko raunaq-e-virana kar diya
mai-KHana-e-alast ka wo rind hun 'fana'
jis par nigah Dal di mastana kar diya
Ghazal
Duniya ke har KHayal se begana kar diya
Fana bulandshahri