duniya ke hain na din ke dilbar ke ho gae
hum dil se kalma-go kisi kafir ke ho gae
uTThe na baiTh kar kabhi ku-e-habib se
us dar pe kya gae ki usi dar ke ho gae
ai chashm-e-yar man gae tere sehr ko
dil de ke mo'taqid tere mantar ke ho gae
hum arz-e-haal kar na sake uf-re roab-e-husn
jate hi un ke samne patthar ke ho gae
ai 'KHar' dil jigar pe hi qabu nahin raha
hum se KHilaf ghair to kya ghar ke ho gae
Ghazal
Duniya ke hain na din ke dilbar ke ho gae
Khar Dehlavi