duniya kahin jo banti hai miTti zarur hai
parde ke pichhe koi na koi zarur hai
jate hain log ja ke phir aate nahin kabhi
diwar ke udhar koi basti zarur hai
mumkin nahin ki dard-e-mohabbat ayan na ho
khilti hai jab kali to mahakti zarur hai
ye jaante hue ki pighalna hai raat bhar
ye shama ka jigar hai ki jalti zarur hai
nagin hi jaaniye use duniya hai jis ka nam
lakh aastin mein paliye Dasti zarur hai
jaan de ke bhi KHarido to duniya na aae hath
ye musht-e-KHak kahne ko sasti zarur hai
Ghazal
Duniya kahin jo banti hai miTti zarur hai
Naushad Ali