duniya ka hai ujala patthar
yazdan tera kala patthar
choTi tak jis ne pahunchaya
us ko dekh sambhaala patthar
munh tak ab le jaana kaThin hai
ban jata hai niwala patthar
titli aan ke us par baiThe
phul bane hai sala patthar
kuchh to tha mujh mein jab us ne
meri samt uchhaala patthar
lal-o-gohar bazar ko de de
ghar ke liye bachcha la patthar
jabr jo KHair se uljha samjha
illa KHuda tha bana la patthar
mera to ek rang badan hai
un ke liye hai jiyala patthar
us ke bina tha jina kaisa
wo na mila to kaha la patthar
Ghazal
Duniya ka hai ujala patthar
Mehdi Jafar