duniya ka gham hi kya gham-e-ulfat ke samne
baatil hai be-wajud haqiqat ke samne
hasrat se chup hun main teri surat ke samne
jaise gunahgar ho jannat ke samne
ruswaiyan hazar hon barbaadiyan hazar
parwa kise hai teri mohabbat ke samne
ai naz-e-ishq dar-o-rasan ki bisat kya
mere wufur-e-shauq-e-shahadat ke samne
ai husn-e-be-misal majal aaine ki kya
jo aa sake kabhi teri surat ke samne
aabaadiyon ko chhoD ke KHush ho gaya tha main
sahra bhi tang hai meri wahshat ke samne
lakhon hijab husn ko ghere rahen magar
Thahre hain kab nigah-e-mohabbat ke samne
kitne pahaD rah-e-wafa mein kaTe 'iram'
kitne abhi hain aur musibat ke samne

Ghazal
Duniya ka gham hi kya gham-e-ulfat ke samne
Iram Lakhnavi