duniya jise kahte hain jadu ka khilauna hai
mil jae to miTTi hai kho jae to sona hai
achchha sa koi mausam tanha sa koi aalam
har waqt ka rona to be-kar ka rona hai
barsat ka baadal to diwana hai kya jaane
kis rah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
ye waqt jo tera hai ye waqt jo mera hai
har gam pe pahra hai phir bhi ise khona hai
gham ho ki KHushi donon kuchh dur ke sathi hain
phir rasta hi rasta hai hansna hai na rona hai
aawara-mizaji ne phaila diya aangan ko
aakash ki chadar hai dharti ka bichhauna hai
Ghazal
Duniya jise kahte hain jadu ka khilauna hai
Nida Fazli