duniya hi ki rah pe aaKHir rafta rafta aana hoga
dard bhi dega sath kahan tak be-dil hi ban jaana hoga
hairat kya hai hum se baDh kar kaun bhala begana hoga
KHud apne ko bhul chuke hain tum ne kya pahchana hoga
dil ka Thikana DhunDh liya hai aur kahan ab jaana hoga
hum honge aur wahshat hogi aur yahi virana hoga
bit gaya jo yaad mein teri ek ek lamhe ka hai dhyan
ulfat mein ji haarna kaisa jo khoya sab pana hoga
aur to sab dukh baT jate hain dil ke dard ko kaun baTae
duniya ke gham bar-haq lekin apna bhi gham khana hoga
dil mein hujum-e-dard hai lekin aah ke bhi ausan nahin
is badli ko yunhi aaKHir bin barse chhaT jaana hoga
hum to fasana kah kar apne dil ka bojh utar chale
tum jo kahoge apne dil se wo kaisa afsana hoga
is basti ka kaun masiha is basti ka kaun KHuda
KHud hi hashr uThane honge marna aur ji jaana hoga
Ghazal
Duniya hi ki rah pe aaKHir rafta rafta aana hoga
Shaanul Haq Haqqi