duniya hai ye kisi ka na is mein qusur tha
do doston ka mil ke bichhaDna zarur tha
us ke karam pe shak tujhe zahid zarur tha
warna tera qusur na karna qusur tha
tum dur jab talak the to naghma bhi tha fughan
tum pas aa gae to alam bhi surur tha
us ek nazar ke bazm mein qisse bane hazar
utna samajh saka jise jitna shuur tha
ek dars thi kisi ki ye fankari-e-nigah
koi na zad mein tha na koi zad se dur tha
bas dekhne hi mein thin nigahen kisi ki talKH
shirin sa ek payam bhi bainassutur tha
pite to hum ne shaiKH ko dekha nahin magar
nikla jo mai-kade se to chehre pe nur tha
'mulla' ka masjidon mein to hum ne suna na nam
zikr us ka mai-kadon mein magar dur dur tha
Ghazal
Duniya hai ye kisi ka na isMein qusur tha
Anand Narayan Mulla