duniya hai tez dhup samundar hai jaise tu
bas ek sans aur ki manzar hai jaise tu
ye aur baat hai ki bahut muqtadir hun main
hai dastaras mein koi to pal bhar hai jaise tu
bas chalte chalte mujh ko badan ki rawish mili
warna ye sard sham bhi patthar hai jaise tu
kya jaane kis sadi ka takalluf hai darmiyan
ye roz o shab ki dhul hi behtar hai jaise tu
Ghazal
Duniya hai tez dhup samundar hai jaise tu
Javed Nasir