duniya hai ek nigar-e-farebanda jalwa-gar
ulfat mein is ki kuchh nahin juz kulfat-o-zarar
aaj is pe thi kamin to lagai kal us pe ghat
hasrat-faza o hosh-ruba o shakeb-bar
hota hai aaKHir us ke giraftar ka ye haal
jaise magas ke shahd mein bhar jawen baal-o-par
sehar-o-fusun wo rakhte hai bahr-e-fareb-e-dil
hairan ho sehr-e-samri bhi jis ko dekh kar
lene ko naqd-e-umr ke shirin hai misl-e-qand
jab le chuke to hoti hai hanzal se talKH tar
jo us se dil lagate hain aaKHir ho munfail
milte hain apne dast-e-tassuf ba-yak digar
tu bhi jo us ke pas laga dega dil to yar
us naKHl se milega tujhe bhi yahi samar
main tujh ko us ke rabt se karta na mana aah
lekin karun main kya tujhe dar-pesh hai safar
tu is masal ko soch zara gar safar-guzin
karta hai qata rah ko bandhe hue kamar
gar darmiyan rah koi mil jae bagh use
to chalte chalte dekhta jata hai ek nazar
bas is nigar-KHane ko tu bhi isi namat
sair-e-musafirana kar aur us se darguzar
us harf ko 'nazir' ke yun dil mein de makan
karta hai jaise naqsh nagin ke jigar mein ghar
Ghazal
Duniya hai ek nigar-e-farebanda jalwa-gar
Nazeer Akbarabadi